Thursday, February 26, 2009

"Kitaab-e-ishq"

jab bhi daikhoo gay rahoon mai duur tak kisi ko
mai dhool ki tarha teri nazroon mai utar jaoonga

mai nahi karoonga tang na tarpaoonga tumhain
mai zard pattay ki tarha dali say gir jaoonga
--
na karo gham , mai nahi rokoon ga kabhi tum ko
teray rastay say mai nigahain jhuka kar guzar jaoonga

daikh kar tumhain zindagi k bahoon mai
apnay marnay ki khwaish kiyay jaoonga

saath daynay ko ayaingay hazaroon loog
kisi aor ko humsafar na bana jaoonga

baat kuch bhi nahi,tum q udas hoti ho mairay liay
mai to ashq bhi jaam samajh kar pee jaoonga

sitam zareef zamana bhi afsana banadayta hai
mai jatay huay kitaab-e-ishq jala jaoonga

No comments:

Post a Comment

 

Free Blog Counter